shah-e-alam ko sar-e-am suna baiTha hun
mere maula teri chaukhaT se laga baiTha hun
mujhe malum hain aadab-e-nashist-o-barKHast
tere darbar mein ek umr uTha baiTha hun
isi mausam ki tamanna thi kai barson se
baadban kholne the aur gira baiTha hun
bhul jaana tha jise sabt hai dil par mere
yaad rakhna tha jise us ko bhula baiTha hun
baat kaise main karun aankh mila kar us se
samne jis ke nigahon ko jhuka baiTha hun
wapsi ka koi rasta nahin milta 'yasir'
kashtiyan apni main pahle hi jala baiTha hun

Ghazal
Shah-e-alam ko sar-e-am suna baiTha hun
Khalid Iqbal Yasir