اردو हिंदी
Shaeri mujhko ajab haal mein le jati hai | Shaahi Shayari
shaeri mujhko ajab haal mein le jati hai

Ghazal

Shaeri mujhko ajab haal mein le jati hai

Arif Imam

;

shaeri mujh ko ajab haal mein le jati hai
kabhi matam kabhi dhammal mein le jati hai

mein kisi chashm-e-nigah-dar ki had mein hun ki jo
mujh ko wapas mere ahwal mein le jati hai

meri KHwahish baDi tafsil-talab hai lekin
teri surat mujhe ijmal mein le jati hai

main bichhata hun musalla sar-e-mehrab-e-niyaz
phir ibaadat mujhe patal mein le jati hai

main to sunta hi nahin hun koi guftar-e-KHirad
ye kabhi qil kabhi qal mein le jati hai

ras aai na mujhe aaina-KHane ki chamak
ye meri shakl ko ashkal mein le jati hai

KHud-faramoshi ki ek lahr kahin se aa kar
ek do bar mujhe sal mein le jati hai

is liye sota nahin main ki nigar-e-duniya
KHema-e-KHwab se pinDal mein le jati hai