shaer-e-fitrat hun jab bhi fikr farmata hun main
ruh ban kar zarre zarre mein sama jata hun main
aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabraata hun main
jaise har shai mein kisi shai ki kami pata hun main
jis qadar afsana-e-hasti ko dohraata hun main
aur bhi be-gana-e-hasti hua jata hun main
jab makan-o-la-makan sab se guzar jata hun main
allah allah tujh ko KHud apni jagah pata hun main
teri surat ka jo aaina use pata hun main
apne dil par aap kya kya naz farmata hun main
yak-ba-yak ghabra ke jitni dur haT aata hun main
aur bhi us shoKH ko nazdik-tar pata hun main
meri hasti shauq-e-paiham meri fitrat iztirab
koi manzil ho magar guzra chala jata hun main
hae-ri majburiyan tark-e-mohabbat ke liye
mujh ko samjhate hain wo aur un ko samjhata hun main
meri himmat dekhna meri tabiat dekhna
jo sulajh jati hai gutthi phir se uljhata hun main
husn ko kya dushmani hai ishq ko kya bair hai
apne hi qadmon ki KHud hi Thokaren khata hun main
teri mahfil tere jalwe phir taqaza kya zarur
le uTha jata hun zalim le chala jata hun main
ta-kuja ye parda-dari-ha-e-ishq-o-laf-e-husn
han sambhal jaen do-alam hosh mein aata hun main
meri KHatir ab wo taklif-e-tajalli kyun karen
apni gard-e-shauq mein KHud hi chhupa jata hun main
dil mujassam sher-o-naghma wo sarapa rang-o-bu
kya fazaen hain ki jin mein jul hua jata hun main
ta-kuja zabt-e-mohabbat ta-kuja dard-e-firaq
rahm kar mujh par ki tera raaz kahlata hun main
wah-re shauq-e-shahadat ku-e-qatil ki taraf
gungunata raqs karta jhumta jata hun main
ya wo surat KHud jahan-e-rang-o-bu mahkum tha
ya ye aalam apne sae se daba jata hun main
dekhna is ishq ki ye turfa-kari dekhna
wo jafa karte hain mujh par aur sharmata hun main
ek dil hai aur tufan-e-hawadis ai 'jigar'
ek shisha hai ki har patthar se Takraata hun main
Ghazal
Shaer-e-fitrat hun jab bhi fikr farmata hun main
Jigar Moradabadi