اردو हिंदी
Shadab shaKH-e-dard ki har por kyun nahin | Shaahi Shayari
shadab shaKH-e-dard ki har por kyun nahin

Ghazal

Shadab shaKH-e-dard ki har por kyun nahin

Zia Jalandhari

;

shadab shaKH-e-dard ki har por kyun nahin
har barg ek zaban hai to phir shor kyun nahin

warasta-e-azab-e-tamasha hai chashm-e-barg
ai aagahi nigah meri kor kyun nahin

dast-e-sawal-e-barg hai shabnam se kyun tahi
jo baadalon ko luT le wo zor kyun nahin

zist ek barg-e-tishna hai wo abr kya hue
ab un ki koi rah meri or kyun nahin

ye shoala ek barg-e-KHizan hai ki barg-e-gul
aankhon mein teri sham hai kyun bhor kyun nahin