shadab-o-shagufta koi gulshan na milega
dil KHushk raha to kahin sawan na milega
tum pyar ki saughat liye ghar se to niklo
raste mein tumhein koi bhi dushman na milega
ab guzri hui umr ko aawaz na dena
ab dhul mein lipTa hua bachpan na milega
sote hain bahut chain se wo jin ke gharon mein
miTTi ke alawa koi bartan na milega
ab nam nahin kaam ka qael hai zamana
ab nam kisi shaKHs ka rawan na milega
chaho to meri aankhon ko aaina bana lo
dekho tumhein aisa koi darpan na milega
Ghazal
Shadab-o-shagufta koi gulshan na milega
Anwar Jalalpuri