ser-shikami ka bhuk se hai milap
ruh ki tishnagi sambhaaliye aap
raqs-farma hui wo sim-tani
be-zari ki bahaar ne di thap
shahar wale hain kholta lawa
gali-kuchon se uTh rahi hai bhap
na-muradi ke baDhte silsile ko
nae paimana-e-sitam se nap
is ko namrud ka taqaza jaan
aatish-e-husn ko na baiTh ke tap
KHamushi to ilaj-e-dard nahin
baat banti nahin hai aap se aap
tu bhi kah de jo tere ji mein hai
sun raha hun main har anap-shanap
koi aaya na gosha-e-dil tak
shah-rah par suni thi panw ki chap
yun hi shayad mizaj badle tera
mere ashaar apne nam se chhap
waqt, mausam 'nazar' nigah mein rakh
kis ne tujh se kaha ye rag alap

Ghazal
Ser-shikami ka bhuk se hai milap
Qayyum Nazar