sehn-e-gulshan mein chali phir ke hawa bismillah
chashm-e-bad-dur bahaar aai hai kya bismillah
mushaf-e-ruKH pe tere abru-e-paiwasta nahin
mu-qalam se yad-e-qudrat ne likha bismillah
is qadar tha wo nasha main ki yaka-yak jo gira
main na bola pa mere dil ne kaha bismillah
zulf us aariz-e-rangin pe bikharne jo lagi
bol uThi munh se wahin baad-e-saba bismillah
aaj gulshan mein zara panw jo phisla us ka
gul hansa ghunche ne jaldi se kaha bismillah
yar qatil mere jo jo ki lagata tha war
lab pe har zaKHm ke nikle thi sada bismillah
shisha o saqi o saghar bhi hazir hain 'nazir'
mai-kashi kijiye ab der hai kya bismillah
Ghazal
Sehn-e-gulshan mein chali phir ke hawa bismillah
Nazeer Akbarabadi