sehat achchhi na ho to zulf-e-niswani se bachna
fishaar-e-KHun ke hamle mein namak-dani se bachna
na ho income to bachchon ki farawani se bachna
gharibi mein farogh-e-nasl-e-insani se bachna
bahut mushkil hai begam ki nigahbani se bachna
samundar mein bhi rahna aur tughyani se bachna
guzishta ahd mein dhoka bahut khaya hai tum ne
magar is bar 'zardari' o 'gilani' se bachna
KHuda tum ko wazir-e-bijli-o-pani bana de
to phir tum sarafin-e-bijli-o-pani se bachna
KHuda ke ghar mein wisa-card ka system nahin hai
credit-card ke bakre ki qurbani se bachna
tumhein lahore ke footpath ka permit mila hai
lihaza rae-winD ke qasr-e-sultani se bachna
tumhein ai 'KHalid'-e-irfan mera mashwara hai
ghazal kahna magar har ja ghazal-KHwani se bachna
Ghazal
Sehat achchhi na ho to zulf-e-niswani se bachna
Khalid Irfan