saza se bach ke kai bar shatiron ki tarah
main apne samne aaya hun mujrmon ki tarah
wo zaKHm jin ka badan par nishan nahin paDta
wahi to khulte hain sapnon mein rauzanon ki tarah
har ek moD pe tajdid-e-ahd lazim tha
wo shaKHs tha koi pur-pech raston ki tarah
yahi KHayal mujhe aa ke chir-phaD gaya
mile hain dost bhi yusuf ke bhaiyon ki tarah
zamin panw tale hai na aasman sar par
paDe hain ghar mein kai log be-gharon ki tarah
gaya to kuchh na raha mere pas jine ko
ghanim tha wo jo aaya tha doston ki tarah
ye aur baat ki zahir mein kuchh nahin lagte
buland-o-baala hain kuchh log parbaton ki tarah
wo raste jo tere sath chal ke tai hote
lipaT gae mere panw mein daeron ki tarah
palak jhapakne mein ek umr kaT gai 'najmi'
guzar gae hain kai sal saaton ki tarah

Ghazal
Saza se bach ke kai bar shatiron ki tarah
Najmi Siddiqui