اردو हिंदी
Saza hi di hai duaon mein bhi asar de kar | Shaahi Shayari
saza hi di hai duaon mein bhi asar de kar

Ghazal

Saza hi di hai duaon mein bhi asar de kar

Iftikhar Naseem

;

saza hi di hai duaon mein bhi asar de kar
zaban le gaya meri mujhe nazar de kar

KHud apne dil se miTa di hai KHwahish-e-parwaz
uDa diya hai magar us ko apne par de kar

nikal paDe hain sabhi ab panah-gahon se
guzar gai hai siyah shab gham-e-sahar de kar

use main apni safai mein kya bhala kahta
wo puchhta tha jo mohlat bhi muKHtasar de kar

pukarta hun ki tanha main rah gaya hun 'nasim'
kahan gaya hai wo mujh ko meri KHabar de kar