اردو हिंदी
Saza hai kis ke liye aur jaza hai kis ke liye | Shaahi Shayari
saza hai kis ke liye aur jaza hai kis ke liye

Ghazal

Saza hai kis ke liye aur jaza hai kis ke liye

Akbar Ali Khan Arshi Zadah

;

saza hai kis ke liye aur jaza hai kis ke liye
pata nahin dar-e-zindan khula hai kis ke liye

surahi-e-mai-e-nab-o-safina-ha-e-ghazal
ye harf-e-husn-e-muqaddar likha hai kis ke liye

faqat shunid hai ab tak jo did ho to bataen
bahaar-e-sabza-o-raqs-e-saba hai kis ke liye

nahin jo apne liye bawajud zauq-e-nazar
sahifa-e-ruKH-o-rang-e-hina hai kis ke liye

miTa sake na agar tishna-kaamiyan meri
kaho ki KHubi-e-ab-o-hawa hai kis ke liye

tumhein nahin ho agar aaj gosh-bar-awaz
ye meri fikr ye meri nawa hai kis ke liye

ye ek sawal hai shikwa nahin gila bhi nahin
mere KHuda tera lutf-o-ata hai kis ke liye