'sayyad' tumhaare gham ki kisi ko KHabar nahin
ho bhi KHabar kisi ko to samjho KHabar nahin
maujud ho to kis liye mafqud ho gae
kin jangalon mein ja ke base ho KHabar nahin
itni KHabar hai phul se KHushbu juda hui
us ko kahin se DhunDh ke lao KHabar nahin
dil mein ubal rahe hain wo tufan ki al-aman
chehre pe wo sukun hai mano KHabar nahin
dekho to har baghal mein hai daftar daba hua
aKHbar mein jo chhapna chaho KHabar nahin
nok-e-zaban hain tum ko sharabon ke nam sab
lekin nashe ki baada-parasto KHabar nahin
kaghaz zamin-e-shor qalam shaKH-e-be-samar
kis aarzu pe umr guzaro KHabar nahin
'sayyad' koi to KHwab bhi tasnif kijiye
har bar tum yahi na sunao KHabar nahin
Ghazal
Sayyad tumhaare gham ki kisi ko KHabar nahin
Muzaffar Ali Syed