sayyal tasawwur hai ubalne ki tarah ka
ek aks se sau aks mein Dhalne ki tarah ka
ab saneha-e-hijr-e-musalsal ka maza bhi
hai aatish-e-taKHliq mein jalne ki tarah ka
sab qaid hua jata hai tangnae-ghazal mein
manzar pas-e-manzar hai badalne ki tarah ka
apni hi tarah ka hai qadam rah-e-talab mein
girne ki tarah ka na sambhalne ki tarah ka
samjho ki qarib aa gai irfan ki manzil
jine mein maza aae jo marne ki tarah ka
ye soch ke main gosha-e-dil wa nahin karta
us shoKH ka milna hai bichhaDne ki tarah ka
kuchh aaise hi mausam mein use aana tha shayad
hai mausam-e-dil phulne-phalne ki tarah ka
ye soch ke mein gosha-e-dil wa nahin karta
us shoKH ka milna hai bichhaDne ki tarah ka
kuchh aaise hi mausam mein use aana tha shayad
hai mausam-e-dil phulne-phalne ki tarah ka
Ghazal
Sayyal tasawwur hai ubalne ki tarah ka
Shamim Qasmi