اردو हिंदी
Sawal us se hamara kahan nibah ka hai | Shaahi Shayari
sawal us se hamara kahan nibah ka hai

Ghazal

Sawal us se hamara kahan nibah ka hai

Moin Nizaamii

;

sawal us se hamara kahan nibah ka hai
mutaliba hai magar sirf ek nigah ka hai

hameshgi ke marasim to dil ko ras nahin
ilaj is ka wahi rabt gah gah ka hai

main din-e-ishq mein tauhid ka jo qail hun
to moajaza ye tere husn-e-be-panah ka hai

visal-o-hijr se main kis ka intiKHab karun
yahan pe KHud se mujhe KHauf ishtibah ka hai

KHabar nahin hai abhi us ki kam-nigahi ko
ki ek marhala KHud ye bhi rasm-o-rah ka hai

moarriKHon ko kisi aur par na shak guzre
ki mujh ko marne wala meri sipah ka hai