اردو हिंदी
Sawal saKHt tha dariya ke par utar jaana | Shaahi Shayari
sawal saKHt tha dariya ke par utar jaana

Ghazal

Sawal saKHt tha dariya ke par utar jaana

Faza Ibn e Faizi

;

sawal saKHt tha dariya ke par utar jaana
wo mauj mauj magar KHud mera bikhar jaana

ye kya KHabar tumhein kis rup mein hun zinda main
mile na jism to sae ko qatl kar jaana

paDa hun yaKH-zada sahra-e-agahi mein hunuz
mere wajud mein thoDi si dhup bhar jaana

kabhi to sath ye aasib-e-waqt chhoDega
KHud apne sae ko bhi dekhna to Dar jaana

jo chahte ho sahar ko nai zaban mile
to pichhli shab ke charaghon ko qatl kar jaana

hamare ahd ka har zehn to nahin jamid
kisi daricha-e-ehsas se guzar jaana

'faza' tujhi ko ye saffaki-e-hunar bhi mili
ek ek lafz ko yun be-libas kar jaana