sawal karta nahin aur jawab us ki talab
ki an-kahi ka bhi dohra azab us ki talab
zamin-e-shor se konpal numu ki mangta hai
nihaal-e-KHushk se taza gulab us ki talab
wo aankh khulne ka bhi intizar karta nahin
darun-e-KHwab hi tabir-e-KHwab us ki talab
visal-rut ka har ek lamha us ke nam kiya
magar hai guzre dinon ka hisab us ki talab
'shafiq' din ka ujala tu paDh nahin sakta
pas-e-ghurub bhi ek aaftab us ki talab
Ghazal
Sawal karta nahin aur jawab uski talab
Shafiq Saleemi

