sawal ka jawab tha jawab ke sawal mein
giraft-e-shor se chhuTe to KHamushi ke jal mein
bura ho aaine tera main kaun hun na khul saka
mujhi ko pesh kar diya gaya meri misal mein
baqa-talab thi zindagi shifa-talab tha zaKHm-e-dil
fana magar likhi gai hai bab-e-indimal mein
kahin sabaat hai nahin ye kaenat hai nahin
magar umid-e-did mein tasawwur-e-jamal mein
qadim se haTe to hum jadid mein ulajh gae
nikal ke gardish-e-falak se mausamon ke jal mein
Ghazal
Sawal ka jawab tha jawab ke sawal mein
Abdul Ahad Saaz