sawal gunj ke chup hain jawab aae nahin
jo aane wale the wo inqalab aae nahin
ye kya hazar ki safar ki zaruraten hi na hon
ye kya safar ki kahin par sarab aae nahin
wo ek nind ki jo shart thi adhuri rahi
hamari jagti aankhon mein KHwab aae nahin
dua karo ki KHizan mein hi chand phul khilen
ki ab ke mausam-e-gul mein gulab aae nahin
mujhe to aaj ke karb o bala se fursat kab
tum un ki chap suno jo azab aae nahin
Ghazal
Sawal gunj ke chup hain jawab aae nahin
Rashid Jamaal Farooqi