اردو हिंदी
Sawal ghar nahin buniyaad par uThaya hai | Shaahi Shayari
sawal ghar nahin buniyaad par uThaya hai

Ghazal

Sawal ghar nahin buniyaad par uThaya hai

Rahat Indori

;

sawal ghar nahin buniyaad par uThaya hai
hamare panw ki miTTi ne sar uThaya hai

hamesha sar pe rahi ek chaTan rishton ki
ye bojh wo hai jise umr-bhar uThaya hai

meri ghulail ke patthar ka kar-nama tha
magar ye kaun hai jis ne samar uThaya hai

yahi zamin mein dabaega ek din hum ko
ye aasman jise dosh par uThaya hai

bulandiyon ko pata chal gaya ki phir main ne
hawa ka TuTa hua ek par uThaya hai

maha-bali se baghawat bahut zaruri hai
qadam ye hum ne samajh soch kar uThaya hai