sawal dil ka sham-e-gham ko aur udas kar gaya
tere wajud mein jo ek main tha wo kidhar gaya
tilism-e-shauq fikr-e-zinda aur karb-e-agahi
tamam umr ka safar nigah se guzar gaya
chale to hausla jawan tha mauj-e-gul thi aarzu
jidhar bhi aankh uTh gai saman nikhar nikhar gaya
kabhi andheri shab mein ek muhib dasht samne
kabhi mah-e-tamam sath sath ta-sahar gaya
har ek daur munfarid tha ab bhi dil pe naqsh hai
gaya to yun laga ki ji ka ek hissa mar gaya
na yaad ki chubhan koi na koi lau malal ki
main jaane kitni dur yunhi KHud se be-KHabar gaya
nigah-e-dost dil-nawaz bhi girah-kusha bhi thi
khula jo dil pe zindagi ka bhed ji Thahar gaya
jahan wajud mein tha main ab ek aur nam hai
ki mera bigDa hua kaam us ke lutf se sanwar gaya
wo sail-e-nur shab ki ibtida se ta-sahar gaya
dil us ke bal pe apne bahr-e-gham ke par utar gaya
Ghazal
Sawal dil ka sham-e-gham ko aur udas kar gaya
Hameed Naseem