sawal-andar-sawal le kar kahan chale ho 
ye aasman-e-malal le kar kahan chale ho 
junun ke raste mein ye KHudi bhi azab hogi 
KHirad ka koh-e-wabaal le kar kahan chale ho 
kahan pe khologe dard apna kise kahoge 
kahin chhupao, ye haal le kar kahan chale ho 
naha rahe ho azab-e-hijran ki barishon mein 
zara si gard-e-visal le kar kahan chale ho 
sarab pine ki aarzu hai to jawab de do 
safar mein KHwab-o-KHayal le kar kahan chale ho 
chale ho jab to hamare mausam badal chuke hain 
suno ye mere wabaal le kar kahan chale ho
        Ghazal
Sawal-andar-sawal le kar kahan chale ho
Sarwat Zehra

