sawad-e-shahr mein thoDi si ye jo jannat hai
hamare ahd ke namrud ki wirasat hai
tamam mulk mein us ki ghazal ki shohrat hai
hamare shahr mein ek shaKHs shad-o-hasrat hai
ghazal ghazal nahin fan ki azim daulat hai
ye 'mir'-o-'ghaalib'-o-'iqbaal' ki amanat hai
na moajiza koi ilham na risalat hai
yazid-o-shimr hain lakhon KHuda ki qudrat hai
abhi hai der zara dhup ke utarne mein
fasil-e-shab se bhi unchi hisar-e-zulmat hai
ajib waqt hai ab doston ke chaqu ko
mere qalam ki nahin ungliyon ki hasrat hai
Ghazal
Sawad-e-shahr mein thoDi si ye jo jannat hai
Raza Ashk