اردو हिंदी
Sawad-e-sham-e-gham mein yun to der tak jala charagh | Shaahi Shayari
sawad-e-sham-e-gham mein yun to der tak jala charagh

Ghazal

Sawad-e-sham-e-gham mein yun to der tak jala charagh

Nazir Siddiqi

;

sawad-e-sham-e-gham mein yun to der tak jala charagh
na jaane kyun thaka thaka udas udas tha charagh

phir is ke baad umr-bhar ye justuju rahi mujhe
ki ek shab guzar ke kahan chala gaya charagh

wo kab se tha wo kaun tha koi to mere sath tha
mere safar mein yak-ba-yak kahan se aa gaya charagh

bujha sake to ab tujhe meri sala-e-am hai
fasil-e-jaan pe ai hawa jala ke rakh diya charagh

main KHugar-e-sitam bhi hun ada-shanas-e-gham bhi hun
majal kya hawa-e-gham bujha sake mera charagh

wajud-e-gham bacha liya ye baat koi kam nahin
hawa-e-gham ke samne laraz ke rah gaya charagh