اردو हिंदी
Sawad-e-manzar-e-KHwab-e-pareshan kaun dekhega | Shaahi Shayari
sawad-e-manzar-e-KHwab-e-pareshan kaun dekhega

Ghazal

Sawad-e-manzar-e-KHwab-e-pareshan kaun dekhega

Jumbish Khairabadi

;

sawad-e-manzar-e-KHwab-e-pareshan kaun dekhega
asir-e-zulf ho kar sham-e-hijran kaun dekhega

gulon ki dilkashi fasl-e-bahaaran kaun dekhega
na honge jab hamin rang-e-gulistan kaun dekhega

shab-e-gham tum na aae gham nahin gham hai to ye gham hai
mere daman pe ashkon ka charaghan kaun dekhega

gudaz-e-shama ki surat jawaz-e-gham karo paida
ye parwano tumhaara soz-e-pinhan kaun dekhega

qayamat mein labon par shikwa-ha-e-pur-jafa la kar
teri masum fitrat ko pasheman kaun dekhega

yaqinan shauq ke pardon ko bhi aankhon se uThna hai
nahin to hashr mein kal ru-e-jaanan kaun dekhega

gareban phaD kar 'jumbish' chalo phulon ki mahfil mein
ye sahra hai yahan haal-e-pareshan kaun dekhega