اردو हिंदी
Sauda tha bala-e-josh par raat | Shaahi Shayari
sauda tha bala-e-josh par raat

Ghazal

Sauda tha bala-e-josh par raat

Momin Khan Momin

;

sauda tha bala-e-josh par raat
bistar par bichhae nashtar raat

bigDe the yahan wo aan kar raat
be-taur bani thi jaan par raat

hum ta-sahar aap mein nahin the
kya jaane rahe wo kis ke ghar raat

afsana samajh ke so gae wo
kaam aai fughan-e-be-asar raat

aaine mein ho na mom jadu
sote nahin ab wo ta-sahar raat

tare aankhen jhapak rahe the
tha baam pe kaun jalwa-gar raat

andhera paDa zamane mein hae
ne din ko hai mehr ne qamar raat

is lail-o-nahaar-e-gham ne mara
hai roz se siyah-tar raat

kya puchho ho munkar-o-nakir aah
bigDe jo wo tan-e-ghair par raat

ye baat baDhi ki mar gae hum
maut aai thi qissa muKHtasar raat

is ghar mein hai aish-e-KHuld 'momin'
kya jaane kahan hai din kidhar raat