sauda-e-ishq yun bhi utarna to hai nahin
ye zaKHm-e-ruh hai ise bharna to hai nahin
sau bar aaina bhi jo dekhen to faeda?
surat ko KHud-baKHud hi sanwarna to hai nahin
mujh ko KHabar hai dahr mein zinda rahunga main
'bullhe' ki tarah mar ke bhi marna to hai nahin
jis lahr ko nigal gai ek lahr dusri
us lahr ko dobara ubharna to hai nahin
tu jo yaqin kar le ki wo hai to phir wo hai
shai ka wajud asl mein warna to hai nahin!
dharnai ki tarah se jo dharna bhi dun to kya?
dharti pe us ne phir bhi utarna to hai nahin
karta hun KHud hi mabhas o taqrir se gurez
tark-e-talluq aap se karna to hai nahin
wo jis ko apne-ap se lagta nahin hai Dar
us ko KHuda ki zat se Darna to hai nahin
kyun us ke intizar mein baiTha hun der se?
is rah-guzar se us ne guzarna to hai nahin
'sahir' ye mera dida-e-giryan hai aur main
sahra mein koi dusra jharna to hai nahin

Ghazal
Sauda-e-ishq yun bhi utarna to hai nahin
Parvez Sahir