sauda-e-gesu-e-siyah-e-yar ho gaya
aazad tha jo dil so giraftar ho gaya
majlis mein jis taraf teri tirchhi nazar paDi
ek tir tha ki toD ke saf par ho gaya
sach hai ye hirs karti hai insan ko KHarab
gham khaya is qadar ki main bimar ho gaya
dil ko qarar hai na to jaan ko qarar hai
ye ishq hai ilahi ki aazar ho gaya
anba-e-jins se jo uThain aziyyaten
surat se aadmi ki main bezar ho gaya
sair-e-chaman ko yar jo aaya to dekhna
aankhon mein andalib ke gul KHar ho gaya
'ahqar' gila raha na adawat ka ghair ki
jab yar qatl karne pe tayyar ho gaya

Ghazal
Sauda-e-gesu-e-siyah-e-yar ho gaya
Radhe Shiyam Rastogi Ahqar