sau uljhanon ke beach guzara gaya mujhe
jab bhi teri talab mein sanwara gaya mujhe
kam ho saka na phir bhi mera martaba agar
pasti mein aasman se utara gaya mujhe
suljhi na ek bar kahin zulf-e-zindagi
garche hazar bar sanwara gaya mujhe
apne mafad ke liye maidan-e-jang mein
jita gaya kabhi kabhi haara gaya mujhe
dhoya gaya badan mera ashkon ke aab se
mere lahu ke sath nikhaara gaya mujhe
phir bhi rawan-dawan hun main mauj-e-hayat mein
sau bar garche dahr mein mara gaya mujhe
rakh kar chalunga jaan hatheli pe main 'nabil'
maqtal se jis ghaDi bhi pukara gaya mujhe

Ghazal
Sau uljhanon ke beach guzara gaya mujhe
Nabeel Ahmad Nabeel