sau qisson se behtar hai kahani mere dil ki
sun us ko tu ai jaan zabani mere dil ki
har nale mein yan TukDe jigar hota hai bulbul
aasan nahin tarz uDani mere dil ki
honi hai shahid ek na ek roz tamanna
mauquf ho kya marsiya-KHwani mere dil ki
piri mein bhi milta hai jo kam-sin koi mahbub
karti hai wahin ud jawani mere dil ki
taqsim kiye para-e-dil bazm-e-butan mein
har ek ke hai pas nishani mere dil ki
ek baat mein ho jae musaKHKHar wo pari-ru
sunta hi nahin sehr-bayani mere dil ki
hai abr to kya chahe falak ko bhi jala de
bijli mein kahan shola-fishani mere dil ki
zulfon mein kiya qaid na abru se kiya qatl
tu ne to koi baat na mani mere dil ki
ye bar-e-gham-e-ishq samaya hai ki 'nasiKH'
hai koh se dah-chand girani mere dil ki
Ghazal
Sau qisson se behtar hai kahani mere dil ki
Imam Bakhsh Nasikh