اردو हिंदी
Sau ki ek baat main kahi to hai | Shaahi Shayari
sau ki ek baat main kahi to hai

Ghazal

Sau ki ek baat main kahi to hai

Meer Hasan

;

sau ki ek baat main kahi to hai
yani jo kuchh ki hai wahi to hai

did-e-wa-dida ko ghanimat jaan
hasil-e-zindagi yahi to hai

tere didar ke liye ye dekh
jaan aankhon mein aa rahi to hai

Dah gaya ho na KHana-e-dil aaj
sail-e-KHun-chashm se bahi to hai

wan bhi rahat ho ya na ho dekhen
ek musibat yahan sahi to hai

mujh sa uryan kahan hai gul us ke
rang ke bar mein ek yahi to hai

tere ahwal se 'hasan' bare
us ko thoDi si aagahi to hai