sau bar tum to samne aa kar chale gae
dhoka sa ek hum ko dikha kar chale gae
ki hum se baghban ne ye kawish ki aaKHirash
hum aashiyan ko aag laga kar chale gae
hone diya na mujh se tumhein sharm ne do-chaar
jab mil gae to sar ko jhuka kar chale gae
aata hua jo dur se dekha mujhe to we
raste mein mujh se munh ko chhupa kar chale gae
ab main hun aur wo zulf hai yaran-e-be-wafa
dam-e-bala mein mujh ko phansa kar chale gae
Thokar se apne panw ke gulshan mein KHush-qadan
sad fitna-ha-e-KHufta jaga kar chale gae
hai ghair se bhi rabt tumhein main jo ye kaha
saugand mere sar ki wo kha kar chale gae
aae kabhi jo bagh mein diwangan-e-dasht
aankhon se ju-e-KHun baha kar chale gae
hargiz raha na un ka nishan wo jo 'mushafi'
qasr-o-mahl zamin pe bana kar chale gae
Ghazal
Sau bar tum to samne aa kar chale gae
Mushafi Ghulam Hamdani