sau bar chaman mahka sau bar bahaar aai
duniya ki wahi raunaq dil ki wahi tanhai
ek lahza bahe aansu ek lahza hansi aai
sikhe hain nae dil ne andaz-e-shakebai
is mausam-e-gul hi se bahke nahin diwane
sath abr-e-bahaaran ke wo zulf bhi lahrai
har dard-e-mohabbat se uljha hai gham-e-hasti
kya kya hamein yaad aaya jab bhi teri aai
charke wo diye dil ko mahrumi-e-qismat ne
ab hijr bhi tanhai aur wasl bhi tanhai
dekhe hain bahut hum ne hangame mohabbat ke
aaghaz bhi ruswai anjam bhi ruswai
ye bazm-e-mohabbat hai is bazm-e-mohabbat mein
diwane bhi shaidai farzane bhi shaidai
Ghazal
Sau bar chaman mahka sau bar bahaar aai
Sufi Tabassum