اردو हिंदी
Satata wo agar fitrat se haT ke | Shaahi Shayari
satata wo agar fitrat se haT ke

Ghazal

Satata wo agar fitrat se haT ke

Mohsin Asrar

;

satata wo agar fitrat se haT ke
to patthar marta main bhi palaT ke

jo main ne intizar-e-yar khincha
mera ghar ban gai duniya simaT ke

bahut kuchh hai nafas ki anjuman mein
magar main ji raha hun sab se haT ke

main un KHamoshiyon mein rah raha hun
jahan aati hain aawazen palaT ke

diye ki lau zara jo Dagmagai
zamin par aasman aaya jhapaT ke

ye sach hai main wahi hun tu wahi hai
magar ab sans le kuchh dur haT ke

guzara din mashaqqat karte karte
guzari raat patthar se lipaT ke

tere bare mein soche ja raha hun
magar ab lag rahe hain dil ko jhaTke