sataish-gar hai zahid is qadar jis bagh-e-rizwan ka
wo ek guldasta hai hum be-KHudon ke taq-e-nisyan ka
bayan kya kijiye be-dad-e-kawish-ha-e-mizhgan ka
ki har yak qatra-e-KHun dana hai tasbih-e-marjaan ka
na aai satwat-e-qatil bhi mane mere nalon ko
liya danton mein jo tinka hua resha nistan ka
dikhaunga tamasha di agar fursat zamane ne
mera har dagh-e-dil ek tuKHm hai sarw-e-charaghan ka
kiya aaina-KHane ka wo naqsha tere jalwe ne
kare jo partaw-e-KHurshid aalam shabnamistan ka
meri tamir mein muzmar hai ek surat KHarabi ki
hayula barq-e-KHirman ka hai KHun-e-garm dahqan ka
uga hai ghar mein har su sabza virani tamasha kar
madar ab khodne par ghas ke hai mere darban ka
KHamoshi mein nihan KHun-gashta lakhon aarzuen hain
charagh-e-murda hun main be-zaban gor-e-ghariban ka
hanuz ek partaw-e-naqsh-e-KHayal-e-yar baqi hai
dil-e-afsurda goya hujra hai yusuf ke zindan ka
baghal mein ghair ki aaj aap sote hain kahin warna
sabab kya KHwab mein aa kar tabassum-ha-e-pinhan ka
nahin malum kis kis ka lahu pani hua hoga
qayamat hai sarishk-aluda hona teri mizhgan ka
nazar mein hai hamari jada-e-rah-e-fana 'ghaalib'
ki ye shiraaza hai aalam ke ajza-e-pareshan ka
Ghazal
Sataish-gar hai zahid is qadar jis bagh-e-rizwan ka
Mirza Ghalib