sata kar sitam-kash ko kya paiyega
jo ki kuchh shikayat to jhunjhlaiyega
wo barq-e-tajalli ki jo jalwa-gah
wahin hazrat-e-dil na rah jaiyega
adab ki jagah marne walo hai qabr
samajh kar yahan panw phailaiyega
gharib ab to qadmon mein hi aa paDa
dil-e-na-tawan ko na Thukraiyega
KHabar bhi hai kuchh bar-e-isyan ki 'shauq'
hui wan jo pursish to sharmaiyega
Ghazal
Sata kar sitam-kash ko kya paiyega
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

