sarzamin-e-zulf mein kya dil Thikane lag gaya
ek musafir tha sar-e-manzil Thikane lag gaya
gulshan-e-hasti nahin ja-e-shaguftan ai saba
dekh jo ghuncha gaya yan khil Thikane lag gaya
aabru rakh li KHuda ne us ki ham-chashmon mein aah
tegh-e-abru ka teri ghael Thikane lag gaya
fursat-e-yak-dam pe phula tha hubab-e-ab-ju
tha jo naqsh-e-safha-e-baatil Thikane lag gaya
jaan-e-shirin di tere aashiq ne bhi jun kohkan
sar se apne mar kar ek sil Thikane lag gaya
rakh qadam hoshyar ho kar ishq ki manzil mein aah
jo hua is rah mein ghafil Thikane lag gaya
chhanw mein naKHl-e-mizha ki loTta hai tifl-e-ashk
KHak mein ya rafta rafta mil Thikane lag gaya
aashna koi na dekha gharq-e-bahr-e-ishq ka
ek dam mein jo tah-e-sahil Thikane lag gaya
be-kali kyunkar na howe us ki furqat mein 'nasir'
ishq mein us gul-badan ke dil Thikane lag gaya
Ghazal
Sarzamin-e-zulf mein kya dil Thikane lag gaya
Shah Naseer