اردو हिंदी
Sarw-qad lala-ruKH o ghuncha-dahan yaad aaya | Shaahi Shayari
sarw-qad lala-ruKH o ghuncha-dahan yaad aaya

Ghazal

Sarw-qad lala-ruKH o ghuncha-dahan yaad aaya

Aagha Akbarabadi

;

sarw-qad lala-ruKH o ghuncha-dahan yaad aaya
phir bahaar aai mujhe lutf-e-chaman yaad aaya

go ki thi saltanat-e-misr magar aaKHir-e-kar
is hukumat pe bhi yusuf ko watan yaad aaya

rag-e-gul par hai kabhi aur kabhi ghunche pe nigah
bagh mein kis ki kamar kis ka dahan yaad aaya

safar-e-mulk-e-adam ki hui aisi ujlat
zad-e-rah kuchh na ba-juz gor-o-kafan yaad aaya

sohbat-e-lala-ruKHan ahd-e-shabab-o-shab-e-wasl
mai-e-kohna jo mili dagh-e-kuhan yaad aaya

jab se aaya hai nazar ye tera husn-e-be-dagh
kabk ko mah na bulbul ko chaman yaad aaya

tere saudai ko phir josh hua wahshat ka
qaidi-e-zulf ko phir tauq-o-rasan yaad aaya

pan kha kar jo ugal aap ne thuka sahab
jauhari mahw hue lal-e-yaman yaad aaya

baad muddat ke talab aap ne bande ko kiya
shukr-sad-shukr main ai mushfiq-e-man yaad aaya

fasl-e-gul aate hi 'agha' ne bhi wahshat ki li
kaisi ye chaal chala kis ka chalan yaad aaya