sarw-e-gulshan par suKHan us qad ka baala ho gaya
har nihaal is sharm sin jangal ka pala ho gaya
aawta hai ye baha ho aankh sen daman talak
tifl-e-ashk is aaj-kal mein kya jwala ho gaya
jab sin us almas ki pahunchi ka hai aansu mein aks
tab sin har tar-e-falak hiron ka mala ho gaya
dil jigar ki phakaDiyan aahon ke taron mein piro
baiTh kar dokan-e-gham par phul wala ho gaya
ashk-e-baran aah bijli ashk ki kali ghaTa
mah-ru ban kis tarah ka barshgala ho gaya
bagh mein sarma tha aur thi yaad-e-dildar-e-do-rang
mujh kun har barg-e-gul-e-rana doshaala ho gaya
nind sin khul gain meri aankhen so dekha yar kun
ya andhaara is qadar tha ya ujala ho gaya
hijr ki maTh mein tasawwur us ghazali chashm ka
ishq ke bairagiyon ko mirg-chhaala ho gaya
bhar raha hai bas ki dud-e-ah mera ai 'siraj'
aasman jiyun parda-e-fanus kala ho gaya
Ghazal
Sarw-e-gulshan par suKHan us qad ka baala ho gaya
Siraj Aurangabadi