اردو हिंदी
Sarshaar hun chhalakte hue jam ki qasam | Shaahi Shayari
sarshaar hun chhalakte hue jam ki qasam

Ghazal

Sarshaar hun chhalakte hue jam ki qasam

Akhtar Ansari

;

sarshaar hun chhalakte hue jam ki qasam
mast-e-sharab-e-shauq hun KHayyam ki qasam

ishrat-farosh tha mera guzra hua shabab
kahta hun kha ke ishrat-e-ayyam ki qasam

hoti thi subh-e-id meri subh par nisar
khati thi sham-e-aish meri sham ki qasam

'aKHtar' mazaq-e-dard ka mara hua hun main
khate hain ahl-e-dard mere nam ki qasam