اردو हिंदी
Sarsar chali wo garm ki sae bhi jal gae | Shaahi Shayari
sarsar chali wo garm ki sae bhi jal gae

Ghazal

Sarsar chali wo garm ki sae bhi jal gae

Iqbal Minhas

;

sarsar chali wo garm ki sae bhi jal gae
sahra mein aa ke yaron ke huliye badal gae

jab rakh ho ke rah gaya wo shahr-e-gul-ruKHan
phir us taraf ko baadalon ke dal ke dal gae

tan kar khaDa raha to koi samne na tha
jab jhuk gaya to har kisi ke war chal gae

kuchh dukh ki raushni thi baDi tez aur kuchh
ashkon ki barishon se bhi chehre ajal gae

ek rang tha lahu ka jo ashkon mein aa gaya
kuchh dil ke dard the so wo sheron mein Dhal gae

'iqbaal' misl-e-mauj-e-hawa kab talak safar
kya jaane kis taraf ko wo chahat ke yal gae