sarsabz mausamon ka nasha bhi mere liye
talwar ki tarah hai hawa bhi mere liye
mere liye hain manzar-o-mani hazar rang
lafzon ke darmiyan hai KHala bhi mere liye
shamil hun qafile mein magar sar mein dhund hai
shayad hai koi rah juda bhi mere liye
main KHush hua ki muzhda safar ka mujhe mila
phaila hua hai dasht-e-saza bhi mere liye
dekhun main aaina to dhuan phail phail jae
bolun to ajnabi hai sada bhi mere liye
mere liye tamam aziyyat tamam qahr
aur phul se labon pe dua bhi mere liye
'bani' ajab tarah se khuli KHush-muqaddari
barg-e-shafaq bhi barg-e-hina bhi mere liye

Ghazal
Sarsabz mausamon ka nasha bhi mere liye
Rajinder Manchanda Bani