sarsabz mausamon ka asar le gaya koi
thoDi si chhanw de ke shajar le gaya koi
mera difaa mera hunar le gaya koi
dastar jab bachai to sar le gaya koi
kya kya na shauq-e-did the aankhon mein KHema-zan
wo ru-ba-ru hue to nazar le gaya koi
yun bhi hua hai jashn-e-bahaaran ke nam par
shaKHen tarash Dalin shajar le gaya koi
aankhon ke aar-par jahaalat ki dhup hai
sar se rida-e-ilm-o-hunar le gaya koi
lahron mein iztirab na maujon mein pech-o-tab
dariya-e-dil se mere bhanwar le gaya koi
'aKHtar' nigar-KHana-e-dil didani hai ab
diwaren toD di gain dar le gaya koi
Ghazal
Sarsabz mausamon ka asar le gaya koi
Sultan Akhtar