saron pe saya ghubar-e-safar ke jaisa hai
kaDakti dhup ka shoala shajar ke jaisa hai
isi mein ho ke rawan gum hamein bhi hona hai
ghubar samne kuchh rahguzar ke jaisa hai
use bhi sail-e-lahu mein hi Dub jaana hai
dayar-e-gham ka muqaddar jigar ke jaisa hai
Tapak ke dagh banega nasib daman se
wo qatra jo ki ba-zahir guhar ke jaisa hai

Ghazal
Saron pe saya ghubar-e-safar ke jaisa hai
Shafaq Sopori