sarKHushi mere liye asbab-e-gham mere liye
maujzan hai jaise dariya-e-karam mere liye
har sitam mere liye hai har karam mere liye
husn ke jalwe hain sare besh-o-kam mere liye
kya haqiqat hai gham-e-hasti ki mere samne
aae din hi gardan-e-mina hai KHam mere liye
ishq ki be-tabiyan hain husn ki ranaiyan
ho gae hain zist ke saman baham mere liye
KHud pasheman hun main apne nala-e-shab-gir par
uf wo chashm-e-kaif-agin aur nam mere liye
dil ki azmat kya kahun dil ki haqiqat kya kahun
jaise ham-aghosh hon dair-o-haram mere liye
ishq ki mojiz-numai 'kaif' ab kya puchhiye
bar-e-hasti ho gaya hai KHud hi kam mere liye
Ghazal
SarKHushi mere liye asbab-e-gham mere liye
Saraswati Saran Kaif