sarka diya naqab ko khiDki ne KHwab mein
suraj dikhai de shab-e-KHana-KHarab mein
tujh aisi narm garm kai laDkiyon ke sath
main ne shab-e-firaq Dubo di sharab mein
aankhen KHayal KHwab jawani yaqin sans
kya kya nikal raha hai kisi ke hisab mein
qaidi bana liya hai kisi hur ne mujhe
yunhi main phir raha tha dayar-e-sawab mein
mayus aasman abhi hum se nahin hua
ummid ka nuzul hai khilte gulab mein
dekhun waraq waraq pa KHad-o-KHal nur ke
suraj-sifat rasul hain subh-e-kitab mein
sisa-bhari samaaten be-shak magar baDa
shor-e-barahnagi hai sukut-e-naqab mein
Ghazal
Sarka diya naqab ko khiDki ne KHwab mein
Mansoor Aafaque