sarishk-e-KHun sar-e-mizhgan kabhi piroe na the
hum itna hansne ke baad is tarah se roe na the
sitam ye hai ki wo KHurshid kaTne aae
tamam umr sitare jinhon ne boe na the
ab aap apni tamannaon se hun sharminda
ye dagh wo hain jo main ne lahu se dhoe na the
bahe wo ashk ki gharqab ho gain aankhen
safine is tarah hum ne kabhi Duboe na the
charagh lao koi aaftab hi DhunDen
hum is qadar kabhi tarikiyon mein khoe na the
ek aah-e-sard ke baad aankhen mund lin 'mohsin'
ye kya hua kabhi ThanDi hawa mein soe na the
Ghazal
Sarishk-e-KHun sar-e-mizhgan kabhi piroe na the
Mohsin Ehsan