sarishk-e-gham simaT kar dil ke armanon ko le Dube
ye sahab-KHana apne sath mehmanon ko le Dube
dikha kar KHwab-e-KHush-ainda firdaus-KHayali ke
nae shaddad hum masum insanon ko le Dube
banate rah gae tanzim-e-nau ke barahman KHake
buton ke hausle tab tak sanam-KHanon ko le Dube
na jaane kah diya shabnam ne kya aankhon hi aankhon mein
ki ghunche thartharae aur gulistanon ko le Dube
KHumar-e-chashm-e-saqi is qadar tauba-shikan tauba
ye do saghar na jaane kitne paimanon ko le Dube
sahar hone se pahle aisi ek angDai ai saqi
jo paimanon se ubhre aur mai-KHanon ko le Dube
fazaon ko umid-e-rang-o-bu thi jin se ai 'arshad'
wo ghunche aaj khilte hi gulistanon ko le Dube
Ghazal
Sarishk-e-gham simaT kar dil ke armanon ko le Dube
Arshad Siddiqui