اردو हिंदी
Sarishk-e-gham ki rawani thami hai mushkil se | Shaahi Shayari
sarishk-e-gham ki rawani thami hai mushkil se

Ghazal

Sarishk-e-gham ki rawani thami hai mushkil se

Afsar Mahpuri

;

sarishk-e-gham ki rawani thami hai mushkil se
jo baat kahni thi un se kahi hai mushkil se

na jaane ahl-e-junun par ab aur kya guzre
abhi to fasl-e-bahaaran kaTi hai mushkil se

shab-e-firaq na puchho ki kis tarah guzri
sahar hui to hai lekin hui hai mushkil se

laga hua hai ye dhaDka ki bujh na jae kahin
hawa mein sham-e-mohabbat jali hai mushkil se

kahan thi manzil-e-maqsud apni qismat mein
kisi ki rahguzar bhi mili hai mushkil se