اردو हिंदी
Sarir-e-saltanat se aastan-e-yar behtar tha | Shaahi Shayari
sarir-e-saltanat se aastan-e-yar behtar tha

Ghazal

Sarir-e-saltanat se aastan-e-yar behtar tha

Yaqeen Inamullah Khan

;

sarir-e-saltanat se aastan-e-yar behtar tha
hamein zill-e-huma se saya-e-diwar behtar tha

mujhe dukh phir diya tu ne munDa kar sabza-e-KHat ko
jarahat ko mere wo marham-e-zangar behtar tha

mujhe zanjir karna kya munasib tha bahaaran mein
ki gul hathon mein aur panw mein mere KHar behtar tha

hamon ne hijr se kuchh wasl mein dhaDke bahut dekhe
hamare haq mein is rahat se wo aazar behtar tha

mera dil mar gaya jis din ki nazzare se baz aaya
'yaqin' parhez agar karta to ye bimar behtar tha