sarhad-e-jism pe hairan khaDa tha main bhi
apne hi sath sar-e-dar laDa tha main bhi
wasta mujh ko samar se tha na targhib se tha
nim-wa hathon mein miTTi ka ghaDa tha main bhi
rauzan-e-waqt mein damdar sada thi kis ki
sanp ki rah mein gaThri mein paDa tha main bhi
us ke sine mein jahannam tha lahu bhi lekin
ek suli ki tarah sath gaDa tha main bhi
kurra-e-arz pe nuqte ka nishan tha warna
apne sae ki zaKHamat se baDa tha main bhi
log aawezish-e-taqrib mein kis ko rote
zist ka kos to tha is se gaDa tha main bhi
kitni tarik shuaon se lahu bhi Tapka
teri aankhon mein sar-e-sham jaDa tha main bhi

Ghazal
Sarhad-e-jism pe hairan khaDa tha main bhi
Rasheed Nisar